Sunday, July 18, 2010

yaad aate hai wo bachpan k din....

wo baarish ka hona....
or humari kaagaj ki kashti banana....
baarish mein cham cham karna....
or kashti ko chalana....
wo baarish ka hona.......
or chaata jaan bhuj kar bhulna....
bheegte hue poore mein ghumna....
chatt per baarish mein nahana....
baarish mein khelna........
or saare kapde gande kar lena.....
phir ghar per ma ki pya bhari daant sunna......

phir se ek baar mujhe waise hi jeena hai....
apne bachpan ki yaadon ko taaja karna hai...
yaad hai mujhe bachpan ke har wo din...
jab hum shaitani karte the........
or ma humari pyaar bhari daant lagati thi...
or hum ma ka gussa jhatt se door kar k unhe hasa dete the...